Zubaan Par Bundish Ka Tor

Zubaan Par Bundish Ka Tor ,” Is qism ki bandish ka moaena karne se pahle yeh samajh lena zaruri hai ke akhir jadu kiya kyun jaata hai. Haalanki jadu beshumaar hote hain aur un ko anjaam tak pahunchaane ke tareeqe bhi beshumaar hote hain lekin un sab ke piche ek hi shaitani maqsad hota hai aur woh hai haalaat ko apni marzi ke mutaabiq bana lena.

Ek taraf Imaan wale log har haal mein sabar aur shukar se kaam lete hain. Woh Allah (swt) ki Raza ke aage sar jhukaa dete hain aur agar koi baat un ki tawaqqo ke khilaaf bhi ho jaati hai to woh us ko Allah (swt) ka Hukum jaan ker sabar karte hain. Woh yeh bhi samajhte hain ke jo kuch bhi hota hai us mein Allah (swt) ki koi na koi Maslehat hogi.

Is ke bar khilaaf duniya mein aise log bhi maujood hain jo un ki marzi ke khilaf kuch bhi hone per jadu tona karne per aamadah ho jaate hain. Un ke dilon mein na to Allah (swt) ka dar hota hai (kyunki jadu karna gunah-e- kabira hai) aur na hi Aakhrat ka khauf (kyunki jadu karne wale ko Aakhrat mein koi hissa nahin milega). Is qism ke log kisi bhi surat-e-haal ko apni marzi ke mutaabiq banaane ke liye kisi had tak bhi ja sakte hain.

Zubaan ki bandish bhi aisa hi ek tareeqa hai jis ke zariye shaitan qism ke log, haasid aur dushman apne mutloob tak pahunch sakte hain. Yeh bandish aksar badnaami se bachne ke liye karwaai jaati hai kyunki jis ko apni badnaami ka dar hoga- jaise ke kisi se apne raaz faash hone ke khatra mehsus hoga- wahi is tarah ki harkat karwa ker aur apne aap ko ma’ashare mein zaleel hone se bachaaega. Is qism ki bandish aksar shadiyon ke mauqe per lagwaai jati hain jab kisi ruswaa gharaane ko yeh dar hota hai ke kahin un ka koi raaz un ke anjaan samdhiyon ko koi na bata de aur shadi ki baat tut na jaae.

Is bandish ke zariye beimaan qism ke log apna kaam chalaate hain aur logon ki ankhon mein dhool jhonkte hain

 

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *