Rozi Me Barkat Ke Liye Bhetarin Amal

Rozi Me Barkat Ke Liye Bhetarin Amal ,” mashi masail yani rozi me barkat k liye awwalo akhir durood shareef k saath 41 martaba baad namaze isha aaytal kursi parh kar sajde me jaa kar dua kare allah tala rozi ka behtar intazam farmega bharosa allah ki hi zaat par rakhe.

Aksar ye hota he k wazifa amaliyat Me kamyabi nahi milti Wazaif or Amaliyat parhne me kuchh zaruri baton ka khayal zarur rakhe is se aap k amal or wazaif me jald hi kamyabi milegi inshaallah
1)Sab se pehle Namazo ki pabandi zarur kare is se behad faida hasil hoga or is se bara koi wazifa yaa is se behtar koi bhi amal meri nazar se nahi guzra
2)jis Aayate qurani ya allah k naam ya ki kisi or arbi ka wird diya ho use sahi talaffuz k saath parhe
3)Wuzu k saath parhe to behtar he.
4)jis amal ya wazaif ko jitni martaba diya gaya utni martaba hi parhe kam zyada na hone paya.
5)Agar kisi waqt ko muqarrar kiya he to usi waqt me parhe.

6)amaliyat ow wazaif ka istamal jaaiz kaam k liye hi kare warna nuqsaan bhi ho sakta he

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *