Istikhara Ka Tarika ,” As salamu allaiqum Hazrate jabir bin Abdullah razi Allah anho farmate ha k rasool Allah salal laho allai wasalam sahaba ikram razi Allah talah anho ko tamam kamo main istikhara itni ahmiyat se sekhate tha jesa quan majid ki sorate ki taleem deta tha (tirmizi)
Ake hadith main janab rasool Allah salal laho allai wasalam ny irshad farmaya . yani Allah tala se istikhara ka chor dena or na karna insane k liya bad bakti or bad nasibi main shomar hota ha
Hazrate saad bin waqas razi Allah anho se rewayat ha k nabi salal laho allai wasalam ka irshad girami ha insane k saad or nake bakti yeah ha k apna kamo main istikhara kareen or bad nasibi yeah ha k istikhara chor beta , or insane ki kush nasibi is main ha k is k bare main kiya gahe Allah k her faisala per razi rahe or badbakti yeah ha k wo Allah ka faisala per narazgee ka izhar kareen
Ake hadees main hazoor pak salal laho allai wasalam ny farmaya yani jo admi apna mamlat main istikhara karta ho wo kabe be nakam nahi hoga , or jo shaks apna kamo main mashvara karta ho is ko kabe be sharmindage ya pachtawa na karna pare ga k main na yeah kam q kya ?ya mana yeah kam q nahi kiya